ek ahsas tere hone ka mujhko hai
ek dar tujhe khone ka mujhko hai
teri yaad hai ki jeene nhi deti hai
ek teri aas hai jo mujhe marne nhi deti hai
ek ahsas tere hone ka mujhko hai
ek dar tujhe khone ka mujhko hai
teri yaad hai ki jeene nhi deti hai
ek teri aas hai jo mujhe marne nhi deti hai
yun to kisi ki aahat se nhi koi vasta hame,
phir bhi darwaja taka karte hain,
jante hain ki na aayenge sanam mere ghar,
phir bhi intzaar kiya karte hain ,
har alfaj mera unki hi khidmat main nazrana hai,
par woh na jan sake jo maine mana hai,
meri har dhadkan par sirf aur sirf usi ka naam hai,
khata woh kar baithe hain aur mujh par iljaam hai,
aaj na jaane main kitna piye baitha hoon
na jane kab se main teri tasveer liye baitha hoon
aaj lad aaya hoon main khuda se bhi teri khusiyon ke khatir,
apni kushi ke badle main tere gum liye bhaita hoon
mujhe tere aane ka intzaar is had tak hai ki har aahat par tera hi naam liya hai
kisi ki aahat se ,kisi ki chahat se
waqt se kismat tak..
teri yaad main
kitni haseen lagti hai meri ye choti si duniya,
kitni haseen lagti hai dil ki ye majbooriyan,
hum chahkar bhi bhula sakte nhi,
woh hame bhool jana chahte nhi,
unki dhadkane dhadkati to maine dekhi hain , lekin kiske liye pata nhi ,
meri dhadkane sirf unki hain magar ye kya woh mante hain pata nhi,
har pal jo meri sanso main hain woh najar aata nhi hai,
har pal jise dekha najro ne woh dil dhadkata nhi,
agar sirf dard ka naam pyar hai to, haan maine pyar kiya hai,
agar sirf intzaar ka naam pyar hai to ,haan maine pyar kiya hai,
suna hai maine ki sirf milan hi pyar nhi judai bhi ek pyar hai
agar sach hai tab kahta hoon , haan maine bhi pyar kiya hai ..
pahle sara jahan meri duniya hua karta tha,
ab mera jahan sirf unki yade hain,
pahle sirf unse bate hoti thi sari duniya ki ,
ab sari duniya se sirf unki baten hain,
kaise kahen unse ki woh hi to hain meri choti si duniya ……..