Translate

Thursday, May 1, 2014

Phir

Logo ko sak tha tere loutne par , phir bhi main tera intzaar karta tha ;
Logo ki nhi dil ki suni maine ,
Sayad tab hi be intihan pyar karta tha;
Jab miloge sunayenge kisse tumhari judai ke ;
Kaise gujare hain din teri bewafai ke ;

Tu bholi thi ya nadan thi , sab kuch jan ke tu anjaan thi, ghut ghut ke main ik ik pal jeeta rha , har pal tere bin marta rha , Logo ko sak tha tere loutne par , phir bhi main tera intzaar karta tha ;

 

Woh kali raat mujhe aaj bhi yaad h , woh meri adhoori baat mujhe aaj bhi yaad hai , tere loutne ki dua to nhi ki maine kabhi lekin tujhe pyar karta tha , Logo ko sak tha tere loutne par , phir bhi main tera intzaar karta tha ;

Aaj tu mere pass h , phir wahi ajeeb ahsaas h , kabhi meri khamosi main dekho , tere wahi purana ahsaas h ,

Kabhi kabhi shochta hoon main ,  ki taqdeer ne kya se kya kar diya , teri bewafai ke daman ko phir hara bhara kar diya, pass the tum aur main tab faasla meelo ka tha aur aaj jab door meelo hain to ekakar kar diya ....

Ab jana h mere dil ne to ki kyun
Logo ko sak tha tere loutne par , aur kyun main tera intzaar karta tha ;

No comments: